Dua e Alqama

[00:06.00]

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

bismillahir rahmanir Raheem

Shuru Allah ke naam se jo bada Maherban aur Nihayat rahem karne wala hai

Yeh riwayat jo naql ki ja rahi hai us ke silsila-e-bayaan mein yeh bhi hai ke Hazrat Ali ibn Abi Talib (a.s) se wida ke baad Safwan ne Hazrat Imam Husain (a.s) ko salaam pesh kiya jabke us ne apna chehra unke roza-e-aqdas ki simt kiya hua tha. Ziyarat ke baad us ne Hazrat (a.s) ka wida bhi kiya aur jo duayen us ne namaz ke baad padhi un mein se ek dua yeh thi:

[00:14.00]

يَا اَللّٰهُ يَا اَللّٰهُ يَا اَللّٰهُ

ya allahu ya allahu ya allahu

Ay Allah! Ay Allah! Ay Allah!

 

[00:18.00]

يَا مُجِيْبَ دَعْوَةِ الْمُضْطَرِّيْنَ

ya mujiba da`wati almudtarrina

Ay majbooron ki dua ke qabool karne wale!

 

[00:23.00]

يَا كَاشِفَ كُرَبِ الْمَكْرُوْبِيْنَ

ya kashifa kurabi almakrubina

Ay museebat-zadon ki takleef ke door karne wale!

 

[00:28.00]

يَا غِيَاثَ الْمُسْتَغِيْثِيْنَ

ya ghiyatha almustaghithina

Ay faryadiyon ki faryad ko pohanchnay wale!

 

[00:33.00]

يَا صَرِيْخَ الْمُسْتَصْرِخِيْنَ

ya sarikha almustasrikhina

Aur ay cheekhne walon ki sada ko sunne wale!

 

[00:37.00]

وَ يَا مَنْ هُوَ اَقْرَبُ اِلَيَّ مِنْ حَبْلِ الْوَرِيْدِ

wa ya man huwa aqrabu ilayya min habli alwaridi

Aur ay woh jo ziyada qareeb hai mujh se rage gardan se.

 

[00:42.00]

وَ يَا مَنْ يَحُوْلُ بَيْنَ الْمَرْءِ وَ قَلْبِهِ

wa ya man yahulu bayna almar'i wa qalbihi

Aur ay woh jo insaan aur uske dil ke darmiyan kaarfarma hai.

 

[00:48.00]

وَ يَا مَنْ هُوَ بِالْمَنْظَرِ الْاَعْلٰى وَ بِالْاُفِقِ الْمُبِيْنِ

wa ya man huwa bilmanzari al-a`la wa bil'ufuqi almubini

Aur ay woh jo manzar-e-baland aur ufuq-e-rawshan mein hai.

 

[00:53.00]

وَ يَا مَنْ هُوَ الرَّحْمٰنُ الرَّحِيْمُ عَلَى الْعَرْشِ اسْتَوٰى

wa ya man huwa alrrahmanu alrrahimu ala alarshi istawa

Aur ay woh jo Rahman-o-Raheem aur arsh par ghalib hai.

 

[00:58.00]

وَ يَا مَنْ يَعْلَمُ خَاۤئِنَةَ الْاَعْيُنِ وَ مَا تُخْفِي الصُّدُوْرُ

wa ya man yalamu kha'inata al-ayuni wa ma tukhfi alssuduru

Aur ay woh jo aankhon ki khayanaton aur dilon ki posheeda niyyaton ka jaanne wala hai.

 

[01:08.00]

وَ يَا مَنْ لَّا يَخْفٰى عَلَيْهِ خَافِيَةٌ

wa ya man la yakhfa `alayhi khafiyatun

Aur ay woh jis par koi posheeda cheez makhfi nahi hai.

 

[01:13.00]

يَا مَنْ لَّا تَشْتَبِهُ عَلَيْهِ الْاَصْوَاتُ

ya man la tashtabihu `alayhi al-aswatu

Aur ay woh jis par aawazein mushtabeh nahi hoti.

 

[01:18.00]

وَ يَا مَنْ لَّا تُغَلِّطُهُ [تُغَلِّظُهُ‏] الْحَاجَاتُ

wa ya man la tughallituhu alhajatu

Aur ay woh jisse logon ki zarooriyaat poora karne mein ghalti nahi hoti.

 

[01:24.00]

وَ يَا مَنْ لَّا يُبْرِمُهُ اِلْحَاحُ الْمُلِحِّيْنَ

wa ya man la yubrimuhu ilhahu almulihhina

Aur ay woh jisse israr karne walon ka israr khilafe irada aamada nahi karta.

 

[01:32.00]

يَا مُدْرِكَ كُلِّ فَوْتٍ

ya mudrika kulli fawtin

Aur ay woh jo har aage jaane wali cheez ka paane wala hai

 

[01:37.00]

وَ يَا جَامِعَ كُلِّ شَمْلٍ

wa ya jami`a kulli shamlin

Aur har sheeraze ka jama karne wala hai.

 

[01:42.00]

وَ يَا بَارِئَ النُّفُوْسِ بَعْدَ الْمَوْتِ

wa ya bari'a alnnufusi ba`da almawti

Aur ay paida karne wale nufoos ke marne ke baad.

 

[01:46.00]

يَا مَنْ هُوَ كُلَّ يَوْمٍ فِي شَأْنٍ

ya man huwa kulla yawmin fi sha'nin

Ay woh jo har din ek khaas shaan mein hai.

 

[01:50.00]

يَا قَاضِيَ الْحَاجَاتِ

ya qadiya alhajati

Ay hajaat ke poora karne wale!

 

[01:54.00]

يَا مُنَفِّسَ الْكُرُبَاتِ

ya munaffisa alkurubati

Ay takleefon ke door karne wale!

 

[01:58.00]

يَا مُعْطِيَ السُّؤْلَاتِ

ya mu`tiya alssu'ulati

Ay sawalon ke ata karne wale

 

[02:02.00]

يَا وَلِيَّ الرَّغَبَاتِ

ya waliyya alrraghabati

Ay ragbaton ke maalik!

 

[02:05.00]

يَا كَافِيَ الْمُهِمَّاتِ

ya kafiya almuhimmati

Ay zaroori kaamon ke poora karne wale.

 

[02:08.00]

يَا مَنْ يَكْفِي مِنْ كُلِّ شَيْ‏ءٍ

ya man yakfi min kulli shay'in

Ay woh jo har cheez se kaafi hai

 

[02:12.00]

وَ لَا يَكْفِيْ مِنْهُ شَيْ‏ءٌ فِي السَّمَاوَاتِ وَ الْاَرْضِ

wa la yakfi minhu shay'un fi alssamawati wal-ardi

Aur usse koi cheez kaafi nahi hai aasman aur zameen mein.

 

[02:17.00]

اَسْاَلُكَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ خَاتَمِ النَّبِيِّيْنَ

as'aluka bihaqqi muhammadin khatami alnnabiyyina

Main tujh se sawal karta hoon wasta Hazrat Mohammad Khatamul Ambiya (Sallallaho Alaihe wa Aalehi) ka

 

[02:29.00]

وَ عَلِيٍّ اَمِيْرِ الْمُؤْمِنِيْنَ

wa aliyyin amiri almu'minina

Aur Hazrat Ali Amirul Momineen (Alaihissalam) ka

 

[02:33.00]

وَ بِحَقِّ فَاطِمَةَ بِنْتِ نَبِيِّكَ

wa bihaqqi fatimata binti nabiyyika

Aur wasta tere Nabi ki dukhtar Janab-e-Fatima (Salamullahi Alaiha) ka

 

[02:40.00]

وَ بِحَقِّ الْحَسَنِ وَ الْحُسَيْنِ

wa bihaqqi alhasani walhusayni

Aur wasta Hazrat Hasan (Alaihissalam) aur Hazrat Husayn (Alaihissalam) ka

 

[02:46.00]

فَاِنِّي بِهِمْ اَتَوَجَّهُ اِلَيْكَ فِي مَقَامِيْ هٰذَا

fa'inni bihim atawajjahu ilayka fi maqami hadha

Main unke zariye se teri taraf mutawajjah hota hoon apni iss jagah mein

 

[02:53.00]

وَ بِهِمْ اَتَوَسَّلُ

wa bihim atawassalu

Aur unke zariye se teri taraf tawassul karta hoon.

 

[02:58.00]

وَ بِهِمْ اَتَشَفَّعُ اِلَيْكَ

wa bihim atashaffa`u ilayka

Aur unke zariye se teri shafaat ko talab karta hoon

 

[03:02.00]

وَ بِحَقِّهِمْ اَسْاَلُكَ وَ اُقْسِمُ وَ اَعْزِمُ عَلَيْكَ

wa bihaqqihim as'aluka wa uqsimu wa azimu alayka

Aur unhi ke wasta se tujh se sawal karta hoon, aur qasam deta hoon tujhe aur wasta

 

[03:08.00]

وَ بِالشَّأْنِ الَّذِيْ لَهُمْ عِنْدَكَ

wa bilshsha'ni alladhi lahum `indaka

Aur wasta uss martabe ka jo unka tere paas hai

 

[03:12.00]

وَ بِالْقَدْرِ الَّذِيْ لَهُمْ عِنْدَكَ

wa bilqadri alladhi lahum `indaka

Aur jo darja unka tere yahan hai.

 

[03:16.00]

وَ بِالَّذِيْ فَضَّلْتَهُمْ عَلَى الْعَالَمِيْنَ

wa billadhi faddaltahum ala alalamina

Aur jo tune fazeelat ata ki hai unhe tamaam duniya par

 

[03:21.00]

وَ بِاسْمِكَ الَّذِيْ جَعَلْتَهُ عِنْدَهُمْ

wa bismika alladhi jaaltahu indahum

Aur wasta tere naam ka jisse tune qarar diya hai unke yahan

 

[03:28.00]

وَ بِهِ خَصَصْتَهُمْ دُوْنَ الْعَالَمِيْنَ

wa bihi khasastahum duna al`alamina

Aur saath tune unhe makhsoos kiya hai tamaam aalam ko chhod kar.

 

[03:34.00]

وَ بِهِ اَبَنْتَهُمْ

wa bihi abantahum

Aur uske zariye se tune unhe rawshan kiya hai

 

[03:39.00]

وَ اَبَنْتَ فَضْلَهُمْ مِنْ فَضْلِ الْعَالَمِيْنَ

wa abanta fadlahum min fadli al`alamina

Aur unki fazeelat ko rawshan kiya hai tamaam jahanon ki fazeelat mein

 

[03:46.00]

حَتّٰى فَاقَ فَضْلُهُمْ فَضْلَ الْعَالَمِيْنَ جَمِيْعًا

hatta faqa fadluhum fadla alalamina jamian

Yahan tak ke fawqiyyat le gayi unki fazeelat tamaam jahanon ki fazeelat par

 

[03:53.00]

اَسْاَلُكَ اَنْ تُصَلِّيَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ

as'aluka an tusalliya `ala muhammadin wa ali muhammadin

Ke tu durood bhej Hazrat Mohammad wa Aale Mohammad Sallallaho Alaihe wa Aalehi par

 

[04:00.00]

وَ اَنْ تَكْشِفَ عَنِّيْ غَمِّيْ وَ هَمِّيْ وَ كَرْبِيْ

wa an takshifa `anni ghammi wa hammi wa karbi

Aur yeh ke tu door kar mujh se mere gham aur ranj aur takleef ko

 

[04:05.00]

وَ تَكْفِيَنِي الْمُهِمَّ مِنْ اُمُوْرِيْ

wa takfiyani almuhimma min umuri

Aur kifayat kar meri mere ahem muamalaat mein

 

[04:10.00]

وَ تَقْضِيَ عَنِّيْ دَيْنِيْ

wa taqdiya `anni dayni

Aur ada kar mujh se mere qarze ko.

 

[04:14.00]

وَ تُجِيْرَنِيْ مِنَ الْفَقْرِ

wa tujirani min alfaqri

Aur mahfooz rakh mujh ko faqr se

 

[04:18.00]

وَ تُجِيْرَنِيْ مِنَ الْفَاقَةِ

wa tujirani min alfaqati

Aur panah de mujh ko ehtiyaj se

 

[04:22.00]

وَ تُغْنِيَنِيْ عَنِ الْمَسْاَلَةِ اِلَى الْمَخْلُوْقِيْنَ

wa tughniyani `an almas'alati ila almakhluqina

Aur be niyaz kar mujh ko makhlooq se sawal karne se

 

[04:27.00]

وَ تَكْفِيَنِيْ هَمَّ مَنْ اَخَافُ هَمَّهُ

wa takfiyani hamma man akhafu hammahu

Aur madad kar meri fikr mein uss shakhs ke jisse ranj ka mujhe andesha ho

 

[04:34.00]

وَ عُسْرَ مَنْ اَخَافُ عُسْرَهُ

wa usra man akhafu usrahu

Aur sakhti se uski jiski sakhti ka mujhe andesha ho

 

[04:39.00]

وَ حُزُوْنَةَ مَنْ اَخَافُ حُزُوْنَتَهُ

wa huzunata man akhafu huzunatahu

Aur bad khulqi se uss shakhs ki jiski bad khulqi se mujhe andesha ho

 

[04:45.00]

وَ شَرَّ مَنْ [مَا] اَخَافُ شَرَّهُ

wa sharra man akhafu sharrahu

Aur shar se uss shakhs ke jiske shar se mujhe andesha ho

 

[04:50.00]

وَ مَكْرَ مَنْ اَخَافُ مَكْرَهُ

wa makra man akhafu makrahu

Aur makr se uss shakhs ke jiske makr se mujhe andesha ho

 

[04:57.00]

وَ بَغْيَ مَنْ اَخَافُ بَغْيَهُ

wa baghya man akhafu baghyahu

Aur baghawat se uss shakhs ki jiski baghawat se mujhe andesha ho

 

[05:02.00]

وَ جَوْرَ مَنْ اَخَافُ جَوْرَهُ

wa jawra man akhafu jawrahu

Aur zulm se uss shakhs ke jiske zulm ka mujhe andesha ho

 

[05:08.00]

وَ سُلْطَانَ مَنْ اَخَافُ سُلْطَانَهُ

wa sultana man akhafu sultanahu

Aur saltanat se uss shakhs ki jiski saltanat ka mujhe andesha ho

 

[05:14.00]

وَ كَيْدَ مَنْ اَخَافُ كَيْدَهُ

wa kayda man akhafu kaydahu

Aur fareb se uss shakhs ke jiske fareb se mujhe andesha ho

 

[05:20.00]

وَ مَقْدُرَةَ مَنْ اَخَافُ مَقْدُرَتَهُ عَلَيَّ

wa maqdurata man akhafu maqduratahu `alayya

Aur iqtidaar se uss shakhs ke jiske iqtidaar se mujhe andesha ho

 

[05:26.00]

وَ تَرُدَّ عَنِّيْ كَيْدَ الْكَيَدَةِ

wa tarudda `anni kayda alkayadati

Aur door kar mujh se fareb karne walon ke fareb ko

 

[05:30.00]

وَ مَكْرَ الْمَكَرَةِ

wa makra almakarati

Aur jaalsaazon ke jaal ko.

 

[05:33.00]

اَللّٰهُمَّ مَنْ اَرَادَنِيْ فَاَرِدْهُ

allahumma man aradani fa'arid-hu

Khudaya! Jo koi mere saath burai ka irada kare tu uske saath aisa hi irada kar

 

[05:42.00]

وَ مَنْ كَادَنِيْ فَكِدْهُ

wa man kadani fakid-hu

Aur jo mere saath fareb kare tu door kar

 

[05:45.00]

وَ اصْرِفْ عَنِّيْ كَيْدَهُ وَ مَكْرَهُ وَ بَأْسَهُ وَ اَمَانِيَّهُ

wasrif `anni kaydahu wa makrahu wa ba'sahu wa amaniyyahu

Mujh se uske fareb ko aur uske jaal ko aur uski sakhti ko aur uski aarzoo’on ko

 

[05:55.00]

وَ امْنَعْهُ عَنِّيْ كَيْفَ شِئْتَ وَ اَنَّى شِئْتَ

wamnahu anni kayfa shi'ta wa anna shi'ta

Aur rok usko jis tarah tu chahe aur jahan se chahe

 

[06:00.00]

اَللّٰهُمَّ اشْغَلْهُ عَنِّيْ بِفَقْرٍ لَا تَجْبُرُهُ

allahumma ashghalhu `anni bifaqrin la tajburuhu

Khudaya! Mashghool kar usko meri janib se aise faqr mein saath jiska phir tadaruk na ho

 

[06:09.00]

وَ بِبَلَاۤءٍ لَا تَسْتُرُهُ

wa bibala'in la tasturuhu

Aur aisi bala ke saath jisse chhupaye nahi

 

[06:13.00]

وَ بِفَاقَةٍ لَا تَسُدُّهَا

wa bifaqatin la tasudduha

Aur aise ehtiyaj ke saath jisko door na kare

 

[06:17.00]

وَ بِسُقْمٍ لَا تُعَافِيْهِ

wa bisuqmin la tu`afihi

Aur aisi beemari ke saath jisse shifa na de

 

[06:21.00]

وَ ذُلٍّ لَا تُعِزُّهُ

wa dhullin la tu`izzuhu

Aur aisi zillat ke saath jisse izzat na hasil ho

 

[06:25.00]

وَ بِمَسْكَنَةٍ لَا تَجْبُرُهَا

wa bimaskanatin la tajburuha

Aur aisi faqeeri ke saath jiska ilaaj na ho

 

[06:30.00]

اَللّٰهُمَّ اضْرِبْ بِالذُّلِّ نَصْبَ عَيْنَيْهِ

allahumma idrib bildhdhulli nasba `aynayhi

Khudaya! Zillat ko pesh kar uski aankhon ke samne

 

[06:38.00]

وَ اَدْخِلْ عَلَيْهِ الْفَقْرَ فِيْ مَنْزِلِهِ

wa adkhil `alayhi alfaqra fi manzilihi

Aur dakhil kar uske upar faqr aur ehtiyaj ko uski manzil mein

 

[06:51.00]

وَ الْعِلَّةَ وَ السُّقْمَ فِيْ بَدَنِهِ

wal`illata walssuqma fi badanihi

Aur beemari ko uske jism mein

 

[06:55.00]

حَتّٰى تَشْغَلَهُ عَنِّيْ بِشُغْلٍ شَاغِلٍ لَا فَرَاغَ لَهُ

hatta tashghalahu `anni bishughlin shaghilin la faragha lahu

Yahan tak ke tu usse rok de meri janib se aur mazboot rukawat ke saath jisse usko fursat na hasil ho

 

[07:06.00]

وَ اَنْسِهِ ذِكْرِيْ كَمَاۤ اَنْسَيْتَهُ ذِكْرَكَ

wa ansihi dhikri kama ansaytahu dhikraka

Aur bhula de usko meri yaad jaisa ke bhula diya hai tune usse apna zikr

 

[07:13.00]

وَ خُذْ عَنِّيْ بِسَمْعِهِ وَ بَصَرِهِ وَ لِسَانِهِ وَ يَدِهِ وَ رِجْلِهِ وَ قَلْبِهِ وَ جَمِيْعِ جَوَارِحِهِ

wa khudh anni bisamihi wa basarihi wa lisanihi wa yadihi wa rijlihi wa qalbihi wa jami`i jawarihihi

Aur salb kar de meri janib se uske kaan ko aur uski aankhon ko aur uski zabaan ko aur uske haath aur uske pair aur uske dil aur uske tamaam aaza ko

 

[07:28.00]

وَ اَدْخِلْ عَلَيْهِ فِيْ جَمِيْعِ ذٰلِكَ السُّقْمَ

wa adkhil alayhi fi jamii dhalika alssuqma

Aur dakhil kar us par un tamaam cheezon mein beemari ko

 

[07:32.00]

وَ لَا تَشْفِهِ حَتّٰى تَجْعَلَ ذٰلِكَ لَهُ شُغْلًا شَاغِلًا بِهِ عَنِّي وَ عَنْ ذِكْرِيْ

wa la tashfihi hatta tajala dhalika lahu shughlan shaghilan bihi anni wa `an dhikri

Aur na shifa de usko, yahan tak ke karar de tu uske liye rukawat jo usse rok de mujh se aur meri yaad se

 

[07:44.00]

وَ اكْفِنِيْ يَا كَافِيَ مَا لَا يَكْفِيْ سِوَاكَ

wakfini ya kafi ma la yakfi siwaka

Aur kifayat kar meri ay kifayat karne wale uss cheez ki jiski siwaye tere koi kifayat nahi kar sakta

 

[07:55.00]

فَاِنَّكَ الْكَافِيْ لَا كَافِيَ سِوَاكَ

fa'innaka alkafi la kafiya siwaka

Kyunk ke tu hi kaafi hai, aur koi kaafi nahi siwaye tere

 

[08:01.00]

وَ مُفَرِّجٌ لَا مُفَرِّجَ سِوَاكَ

wa mufarrijun la mufarrija siwaka

Aur faryadras hai, koi faryadras nahi siwaye tere

 

[08:07.00]

وَ مُغِيْثٌ لَا مُغِيْثَ سِوَاكَ

wa mughithun la mughitha siwaka

Aur tu hi faryad sunne wala hai, koi faryad sunne wala nahi siwaye tere

 

[08:13.00]

وَ جَارٌ لَا جَارَ سِوَاكَ

wa jarun la jara siwaka

Aur tu hi panah dene wala hai, koi panah dene wala nahi siwaye tere

 

[08:20.00]

خَابَ مَنْ كَانَ جَارُهُ سِوَاكَ

khaba man kana jaruhu siwaka

Naakaam hua woh jiski ummeed siwaye tere kisi aur se wabasta hui

 

[08:27.00]

وَ مُغِيْثُهُ سِوَاكَ

wa mughithuhu siwaka

Aur jiska faryadras koi aur hua

 

[08:31.00]

وَ مَفْزَعُهُ اِلٰى سِوَاكَ

wa mafza`uhu ila siwaka

Aur jiski jaaye panah kisi aur taraf hui

 

[08:36.00]

وَ مَهْرَبُهُ اِلٰى سِوَاكَ

wa mahrabuhu ila siwaka

Aur jiska bhaagna tere siwa ki taraf

 

[08:40.00]

وَ مَلْجَؤُهُ اِلٰى غَيْرِكَ

wa malja'uhu ila ghayrika

Aur panah lena tere ghair ki taraf ho

 

[08:43.00]

وَ مَنْجَاهُ مِنْ مَخْلُوْقٍ غَيْرِكَ

wa manjahu min makhluqin ghayrika

Aur jiska taalib-e-najaat hona kisi makhlooq ki taraf ho tere siwa

 

[08:50.00]

فَاَنْتَ ثِقَتِيْ وَ رَجَاۤئِي

fa'anta thiqati wa raja'i

Pas tujh par bharosa hai aur tujh se mujhe ummeed hai

 

[08:56.00]

وَ مَفْزَعِيْ، وَ مَهْرَبِيْ

wa mafza`i wa mahrabi

Aur tu hi meri jaaye panah aur makaam-e-ruju

 

[09:00.00]

وَ مَلْجَئِيْ وَ مَنْجَايَ

wa malja'i wa manjaya

Aur sabab-e-najaat hai

 

[09:03.00]

فَبِكَ اَسْتَفْتِحُ

fabika astaftihu

Pas tujhi se fath ka taalib hoon

 

[09:07.00]

وَ بِكَ اَسْتَنْجِحُ

wa bika astanjihu

Aur tujhi se kamyabi chahta hoon

 

[09:11.00]

وَ بِمُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ اَتَوَجَّهُ اِلَيْكَ، وَ اَتَوَسَّلُ وَ اَتَشَفَّعُ

wa bimuhammadin wa ali muhammadin atawajjahu ilayka wa atawassalu wa atashaffa`u

Aur Hazrat Mohammad wa Aale Mohammad Alaihemussalam ke wasta se teri taraf mutawajjah hota hoon aur tawassul karta hoon aur shafaat talab karta hoon

 

[09:25.00]

فَاَسْاَلُكَ يَاۤ اَللّٰهُ يَاۤ اَللّٰهُ يَاۤ اَللّٰهُ

fa'as'aluka ya allahu ya allahu ya allahu

Pas sawal karta hoon tujh se ay Allah! Ay Allah! Ay Allah!

 

[09:33.00]

فَلَكَ الْحَمْدُ وَ لَكَ الشُّكْرُ

falaka alhamdu wa lakash shukru

Pas tere hi liye hamd hai aur tere liye shukr hai

 

[09:38.00]

وَ اِلَيْكَ الْمُشْتَكٰى وَ اَنْتَ الْمُسْتَعَانُ

wa ilayka almushtaka wa anta almusta`anu

Aur teri taraf shikayat hai aur tujhi se madad talab hai

 

[09:43.00]

فَاَسْاَلُكَ يَاۤ اَللّٰهُ يَاۤ اَللّٰهُ يَاۤ اَللّٰهُ

fa'as'aluka ya allahu ya allahu ya allahu

Pas sawal karta hoon tujh se ay Allah! Ay Allah! Ay Allah!

 

[09:51.00]

بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ

bihaqqi muhammadin wa ali muhammadin

Wasta Hazrat Mohammad wa Aale Mohammad (Alaihemussalam) ka

 

[09:57.00]

اَنْ تُصَلِّيَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ

an tusalliya `ala muhammadin wa ali muhammadin

Ke durood bhej tu Hazrat Mohammad wa Aale Mohammad (Alaihemussalam) par

 

[10:04.00]

وَّ اَنْ تَكْشِفَ عَنِّيْ غَمِّيْ وَ هَمِّيْ وَ كَرْبِيْ فِيْ مَقَامِيْ هٰذَا

wa an takshifa `anni ghammi wa hammi wa karbi fi maqami hadha

Aur yeh ke door kar tu mujh se mere ranjo gham aur takleef ko meri issi makaam par

 

[10:13.00]

كَمَا كَشَفْتَ عَنْ نَبِيِّكَ هَمَّهُ وَ غَمَّهُ وَ كَرْبَهُ

kama kashafta `an nabiyyika hammahu wa ghammahu wa karbahu

Jaisa ke tune door kiya apne Nabi se unke ranjo gham aur takleef ko

 

[10:19.00]

وَ كَفَيْتَهُ هَوْلَ عَدُوِّهِ

wa kafaytahu hawla `aduwwihi

Aur mahfooz rakha unko khauf se unke dushman ke

 

[10:25.00]

فَاكْشِفْ عَنِّيْ كَمَا كَشَفْتَ عَنْهُ

fakshif anni kama kashafta anhu

Pas door kar mujh se jaisa ke door kiya unse

 

[10:30.00]

وَ فَرِّجْ عَنِّيْ كَمَا فَرَّجْتَ عَنْهُ

wa farrij anni kama farrajta anhu

Aur khol de mujh se jaisa ke khola tha unse

 

[10:35.00]

وَ اكْفِنِيْ كَمَا كَفَيْتَهُ

wakfini kama kafaytahu

Aur kifayat kar meri jaise unki kifayat ki

 

[10:39.00]

وَ اصْرِفْ عَنِّيْ‏ هَوْلَ مَاۤ اَخَافُ هَوْلَهُ

wasrif `anni hawla ma akhafu hawlahu

Aur hata mujh se khauf ko uss cheez ke jiske khauf ka mujhe dar ho

 

[10:45.00]

وَ مَئُوْنَةَ مَاۤ اَخَافُ مَئُوْنَتَهُ

wa ma'unata ma akhafu ma'unatahu

Aur mashakkat ko uski jiski mashakkat ka mujhe khauf ho

 

[10:51.00]

وَ هَمَّ مَاۤ اَخَافُ هَمَّهُ

wa hamma ma akhafu hammahu

Aur ranj ko uske jiske ranj ka mujhe khauf ho

 

[10:56.00]

بِلَا مَئُوْنَةٍ عَلٰى نَفْسِيْ مِنْ ذٰلِكَ

bila ma'unatin `ala nafsi min dhalika

Baghair kisi mashakkat ke mere nafs par iss wajah se

 

[11:02.00]

وَ اصْرِفْنِيْ بِقَضَاۤءِ حَوَاۤئِجِيْ

wasrifni biqada'i hawa'iji

Aur palta mujh ko meri hajaat ke poora karne ke saath

 

[11:07.00]

وَ كِفَايَةِ مَا اَهَمَّنِيْ هَمُّهُ مِنْ اَمْرِ اٰخِرَتِيْ وَ دُنْيَايَ

wa kifayati ma ahammani hammahu min amri akhirati wa dunyaya

Aur un zarooraton ki kifayat ke saath jinki mujhe fikr hai mere aakhirat aur duniya mein se

 

[11:17.00]

يَاۤ اَمِيْرَ الْمُؤْمِنِيْنَ

ya amira almu'minina

Ay Amirul Momineen!

 

[11:20.00]

وَ يَاۤ اَبَا عَبْدِ اللّٰهِ

wa ya aba abdillahi

Ay Abu Abdillah!

 

[11:22.00]

عَلَيْكُمَا مِنِّيْ سَلَامُ اللّٰهِ اَبَدًا مَّا بَقِيْتُ‏ وَ بَقِيَ اللَّيْلُ وَ النَّهَارُ

`alaykuma minni salamu allahi abadan ma baqitu wa baqiya allaylu walnnaharu

Aap dono par meri taraf se Khuda ka salaam ho hamesha jab tak ke main baqi rahoon aur shab-o-roz baqi rahein

 

[11:35.00]

وَ لَا جَعَلَهُ اللّٰهُ اٰخِرَ الْعَهْدِ مِنْ زِيَارَتِكُمَا

wa la jaalahu allahu akhira alahdi min ziyaratikuma

Aur na karar de Khuda usko aakhri mawqa aap dono ki ziyarat ka

 

[11:42.00]

وَ لَا فَرَّقَ اللّٰهُ بَيْنِيْ وَ بَيْنَكُمَا

wa la farraqa allahu bayni wa baynakuma

Aur na judai daale mere aur aap ke darmiyan

 

[11:46.00]

اَللّٰهُمَّ اَحْيِنِيْ حَيَاةَ مُحَمَّدٍ وَّ ذُرِّيَّتِهِ

allahumma ahyini hayata muhammadin wa dhurriyyatihi

Khudaya! Zinda rakh mujh ko Hazrat Mohammad Sallallaho Alaihe wa Aalehi aur unki awlaad jaisi Zindagi

 

[11:57.00]

وَ اَمِتْنِيْ مَمَاتَهُمْ

wa amitni mamatahum

Aur maut ata kar mujh ko un jaisi maut

 

[12:01.00]

وَ تَوَفَّنِيْ عَلٰى مِلَّتِهِمْ

wa tawaffani `ala millatihim

Aur mujhe duniya se utha unhi ke mazhab par

 

[12:06.00]

وَ احْشُرْنِيْ فِيْ زُمْرَتِهِمْ

wahshurni fi zumratihim

Aur qiyamat mein la unki jamaat mein

 

[12:09.00]

وَ لَا تُفَرِّقْ بَيْنِيْ وَ بَيْنَهُمْ طَرْفَةَ عَيْنٍ اَبَدًا فِيْ الدُّنْيَا وَ الْاٰخِرَةِ

wa la tufarriq bayni wa baynahum tarfata `aynin abadan fi alddunya wal-akhirati

Aur na judai daal mere aur unke darmiyan ek pal bhar bhi kabhi duniya aur aakhirat mein

 

[12:19.00]

يَاۤ اَمِيْرَ الْمُؤْمِنِيْنَ وَ يَاۤ اَبَا عَبْدِ اللّٰهِ

ya amira almu'minina wa ya aba abdillahi

Ay Amirul Momineen aur ay Abu Abdillah!

 

[12:23.00]

اَتَيْتُكُمَا زَاۤئِرًا وَ مُتَوَسِّلًا اِلَى اللّٰهِ رَبِّيْ وَ رَبِّكُمَا

ataytukuma za'iran wa mutawassilan ila allahi rabbi wa rabbikuma

Main aaya hoon aap ke paas ziyarat ke liye aur tawassul karta hoon Khuda ki taraf jo mera aur aap ka Parwardigar hai

 

[12:36.00]

وَ مُتَوَجِّهًا اِلَيْهِ بِكُمَا

wa mutawajjihan ilayhi bikuma

Tawajjoh karta huwa uski taraf aap ke zariye se

 

[12:41.00]

وَ مُسْتَشْفِعًا بِكُمَا اِلَى اللّٰهِ تَعَالٰى‏ فِيْ حَاجَتِيْ هٰذِهِ

wa mustashfian bikuma ila allahi taala fi hajati hadhihi

Aur shafaat talab karta huwa aap ke wasta se Khuda ke yahan apni iss zaroorat mein

 

[12:49.00]

فَاشْفَعَا لِيْ

fashfa`a li

Pas shafaat kijiye mere liye

 

[12:53.00]

فَاِنَّ لَكُمَا عِنْدَ اللّٰهِ الْمَقَامَ الْمَحْمُوْدَ

fa'inna lakuma `inda allahi almaqama almahmuda

Pas yaqeenan tum dono ke liye Allah ke haan maqam-e-mahmood hai.

 

[13:00.00]

وَ الْجَاهَ الْوَجِيْهَ

waljaha alwajiha

Aur (ata farma) woh buland rutba aur izzat wala maqam.

 

[13:06.00]

وَ الْمَنْزِلَ الرَّفِيْعَ وَ الْوَسِيْلَةَ

walmanzila alrrafi`a walwasilata

Aur manzil-e-baala aur tawassul ka haq hai

 

[13:10.00]

اِنِّيۤ اَنْقَلِبُ عَنْكُمَا مُنْتَظِرًا لِتَنَجُّزِ الْحَاجَةِ

inni anqalibu `ankuma muntaziran litanajjuzi alhajati

Main waapas jaata hoon aap ke yahan se muntazir poora hone ka haajat ke

 

[13:17.00]

وَ قَضَاۤئِهَا وَ نَجَاحِهَا مِنَ اللّٰهِ

wa qada'iha wa najahiha min allahi

Aur uske rawan hone ka aur uske kamyab hone ka Khuda ki taraf se

 

[13:23.00]

بِشَفَاعَتِكُمَا لِيۤ اِلَى اللّٰهِ فِي ذٰلِكَ

bishafa`atikuma li ila allahi fi dhalika

Aap ki shafaat ke saath mere liye Khuda ke yahan

 

[13:28.00]

فَلَا ۤاَخِيْبُ

fala akhibu

Pas main nahi naakaam hunga

 

[13:31.00]

وَ لَا يَكُوْنُ مُنْقَلَبِيْ مُنْقَلَبًا خَاۤئِبًا خَاسِرًا

wa la yakunu munqalabi munqalaban kha'iban khasiran

Aur na hoga mera waapas hona waapas hona na kaam nuqsaan rasaan

 

[13:37.00]

بَلْ يَكُوْنُ مُنْقَلَبِيْ مُنْقَلَبًا رَاجِحًا مُفْلِحًا مُنْجِحًا مُسْتَجَابًا

bal yakunu munqalabi munqalaban rajihan muflihan munjihan mustajaban

Balke hogi meri waapsi giraabaha aur kamyab iss haalat mein ke meri dua qabool hui hai

 

[13:47.00]

بِقَضَاۤءِ جَمِيْعِ حَوَاۤئِجِيْ

biqada'i jami`i hawa'iji

Mere tamaam hajaat ke poora hone ke saath

 

[13:51.00]

وَ تَشَفَّعَا لِيْ اِلَى اللّٰهِ

wa tashaffa`a li ila allahi

Aur shafaat kijiye mere liye Khuda ke yahan

 

[13:55.00]

انْقَلَبْتُ عَلٰى مَا شَاۤءَ اللّٰهُ

inqalabtu `ala ma sha'a allahu

Main waapas hunga jaisa ke Khuda ko manzoor hai

 

[14:00.00]

وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ

wa la hawla wa la quwwata illa billahi

Aur quwwat-o-taakat nahi hai magar Khuda ki janib se

 

[14:05.00]

مُفَوِّضًا اَمْرِيْ اِلَى اللّٰهِ

mufawwidan amri ila allahi

Supurd karte hue apne amr ko Khuda ki taraf

 

[14:10.00]

مُلْجِئًا ظَهْرِيْ اِلَى اللّٰهِ

mulji'an zahri ila allahi

Ummeed rakhte hue aur tawakkul karte hue Khuda par

 

[14:15.00]

مُتَوَكِّلًا عَلَى اللّٰهِ

mutawakklan `ala allahi

Mutawakkil karte hue Khuda par

 

[14:18.00]

وَ اَقُوْلُ حَسْبِيَ اللّٰهُ، وَ كَفٰى

wa aqulu hasbiya allahu wa kafa

Aur main kehta hoon ke kaafi hai mere liye Khuda, aur

 

[14:23.00]

سَمِعَ اللّٰهُ لِمَنْ دَعَا

samia allahu liman daa

Sunta hai Khuda us shakhs ki jo usse pukare

 

[14:29.00]

لَيْسَ لِي وَرَاۤءَ اللّٰهِ وَ وَرَاۤءَكُمْ، يَا سَادَتِيْ مُنْتَهًى

laysa li wara'a allahi wa wara'akum ya sadati muntaha

Nahi hai mere liye Khuda ke siwa aur aap ke siwa ay mere saadat koi theherne ki jagah

 

[14:38.00]

مَا شَاۤءَ رَبِّيْ كَانَ

ma sha'a rabbi kana

Jo kuch Khuda chahe woh hota hai

 

[14:42.00]

وَ مَا لَمْ يَشَأْ لَمْ يَكُنْ

wa ma lam yasha' lam yakun

Aur jo na chahe nahi hota

 

[14:45.00]

وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ

wa la hawla wa la quwwata illa billahi

Aur taakat-o-quwwat nahi hai magar Khuda ke saath

 

[14:50.00]

اَسْتَوْدِعُكُمَا اللّٰهَ

astawdi`ukuma allaha

Main supurd karta hoon aap dono ko Khuda ke

 

[14:55.00]

وَ لَا جَعَلَهُ اللّٰهُ اٰخِرَ الْعَهْدِ مِنِّيۤ اِلَيْكُمَا

wa la jaalahu allahu akhira alahdi minni ilaykuma

Aur na qarar de Khuda isko aakhri mawqa mere liye aap ki ziyarat ka

 

[15:01.00]

اِنْصَرَفْتُ يَا سَيِّدِيْ يَاۤ اَمِيْرَ الْمُؤْمِنِيْنَ، وَ مَوْلَايَ

insaraftu ya sayyidi ya amira almu'minina wa mawlaya

Main waapas hota hoon ay mere sardar! Ay Amirul Momineen! Ay mere mawla!

 

[15:10.00]

وَ اَنْتَ يَاۤ اَبَا عَبْدِ اللّٰهِ يَا سَيِّدِيْ

wa anta ya aba abdillahi ya sayyidi

Aur ay Abu Abdillah! Ay mere sardar!

 

[15:15.00]

وَ سَلَامِيْ عَلَيْكُمَا مُتَّصِلٌ مَا اتَّصَلَ اللَّيْلُ وَ النَّهَارُ

wa salami `alaykuma muttasilun ma ittasala allaylu walnnaharu

Aur mera salaam ho aap dono par jab tak ke shab-o-roz ek dusre se mile hue rahein

 

[15:23.00]

وَاصِلٌ ذٰلِكَ اِلَيْكُمَا غَيْرُ مَحْجُوْبٍ عَنْكُمَا، سَلَامِيۤ

wasilun dhalika ilaykuma ghayru mahjubin `ankuma salami

Yeh tohfa aap ke paas pahonchta rahega aap se posheeda nahi hoga mera salaam

 

[15:31.00]

اِنْ شَاۤءَ اللّٰهُ

in sha'a allahu

Agar Khuda ne chaha

 

[15:33.00]

وَ اَسْاَلُهُ بِحَقِّكُمَا، اَنْ يَّشَاۤءَ ذٰلِكَ وَ يَفْعَلَ

wa as'aluhu bihaqqikuma an yasha'a dhalika wa yaf`ala

Aur main sawal karta hoon isse aap ke wasta se ke woh aisa chahe aur aisa hi kare

 

[15:42.00]

فَاِنَّهُ حَمِيْدٌ مَّجِيْدٌ

fa'innahu hamidun majidun

Woh hamd ke laayeq aur buzurg martaba hai

 

[15:46.00]

اِنْقَلَبْتُ يَا سَيِّدَيَّ عَنْكُمَا تَاۤئِبًا حَامِدًا لِلّٰهِ

inqalabtu ya sayyidayya `ankuma ta'iban hamidan lillahi

Main waapas hota hu ay mere mawla aap ke paas se apne gunahon se tawba karte hue, hamd karta huwa Khuda ki

 

[15:59.00]

شَاكِرًا رَاجِيًا لِلْاِجَابَةِ غَيْرَ اٰيِسٍ وَ لَا قَانِطٍ

shakiran rajiyan lil-ijabati ghayra ayisin wa la qanitin

Aur shukr karta hua, ummeed karte hue qabooliyat ki, na mayus aur na na ummeed

 

[16:08.00]

اۤئِبًا عَاۤئِدًا رَاجِعًا اِلٰى زِيَارَتِكُمَا

a'iban a'idan rajian ila ziyaratikuma

Paltata huwa waapas hota hua aap ki ziyarat se

 

[16:13.00]

غَيْرَ رَاغِبٍ عَنْكُمَا، وَ لَا مِنْ زِيَارَتِكُمَا

ghayra raghibin ankuma wa la an ziyaratikuma

Na to rugarda hokar aap se aur na aap ki ziyarat se

 

[16:19.00]

بَلْ رَاجِعٌ عَاۤئِدٌ اِنْ شَاۤءَ اللّٰهُ

bal rajiun a'idun in sha'a allahu

Balke phir palatne ke qasd ke saath agar Khuda ne chaha

 

[16:24.00]

وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ

wa la hawla wa la quwwata illa billahi

Aur taakat quwwat nahi hai magar Khuda ke sabab se

 

[16:28.00]

يَا سَادَتِيْ رَغِبْتُ اِلَيْكُمَا وَ اِلَى زِيَارَتِكُمَا

ya sadati raghibtu ilaykuma wa ila ziyaratikuma

Ay mere sardaron! Main mutawajjah hota hoon aap ki taraf aur aap ki ziyarat ki taraf

 

[16:37.00]

بَعْدَ اَنْ زَهِدَ فِيْكُمَا، وَ فِيْ زِيَارَتِكُمَا اَهْلُ الدُّنْيَا

ba`da an zahida fikuma wa fi ziyaratikuma ahlu alddunya

Baad iske ke rugardaani ki aap se aur aap ki ziyarat se ahle duniya ne

 

[16:45.00]

فَلَا خَيَّبَنِيَ اللّٰهُ مَا رَجَوْتُ، وَ مَاۤ اَمَّلْتُ فِيْ زِيَارَتِكُمَا

fala khayyabaniya allahu mimma rajawtu wa ma ammaltu fi ziyaratikuma

Pas Khuda na naakaam kare mujh ko iss cheez se jo maine ummeed qaayam ki aur jo maine tawakk'o ki hai aap ki ziyarat se

 

[16:58.00]

اِنَّهُ قَرِيْبٌ مُّجِيْبٌ۔

innahu qaribun mujibun

Woh nazdeek hai aur dua ka qabool karne wala hai