Subah ki Dua, jo Imam Ali (a.s.) se riwayat ki gayi hai.
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
bismi allahi alrrahmani alrrahimi
Azeem aur daimi rehmaton wale Khuda ke naam se
۩
اللّهُمّ صَلّ عَلَى مُحَمّدٍ وَآلِ مُحَمّدٍ
allahumma salli `ala muhammadin wa ali muhammad
O Allah: (please do) bless Muhammad and the Household of Muhammad
اللَّهُمَّ يَا مَنْ دَلَعَ لِسَانَ ٱلصَّبَاحِ بِنُطْقِ تَبَلُّجِهِ
allahumma ya man dala`a lisana alssabahi binutqi taballujihi
.Aye mere Ma'bood! Jis ne subah ki zaban ko roshni ki goyai di
وَسَرَّحَ قِطَعَ ٱللَّيْلِ ٱلْمُظْلِمِ بِغَيَاهِبِ تَلَجْلُجِهِ
wa sarraha qita`a allayli almuzlimi bighayahibi talajlujihi
Aur andheri raat ke tukron ko larazti tareekiyon samet hanka diya
وَأَتْقَنَ صُنْعَ ٱلْفَلَكِ الدَّوَّارِ فِي مَقَادِيرِ تَبَرُّجِهِ
wa atqana sun`a alfalaki alddawwari fi maqadiri tabarrujihi
Aur ghoomte aasman ki sakht ko us ke burjon se muhkam kiya
وَشَعْشَعَ ضِيَاءَ ٱلشَّمْسِ بِنُورِ تَأَجُّجِهِ
wa sha`sha`a diya'a alshshamsi binuri ta'ajjujihi
Aur suraj ki roshni ko us ke noor-e-farozaan se chamkaya
يَا مَنْ دَلَّ عَلَىٰ ذَاتِهِ بِذَاتِهِ
ya man dalla `ala dhatihi bidhatihi
Aye woh jis ne apni zaat par apni zaat ko daleel banaya
وَتَنَزَّهَ عَنْ مُجَانَسَةِ مَخْلُوقَاتِهِ
wa tanazzaha `an mujanasati makhluqatihi
aJo apni makhlooqat ka ham-jins hone se paak
وَجَلَّ عَنْ مُلائَمَةِ كَيْفِيَاتِهِ
wa jalla `an mula'amati kayfiyyatihi
Aur us ki kaifiyaton ki amezish se buland hai
يَا مَنْ قَرُبَ مِنْ خَطَرَاتِ ٱلظُّنُونِ
ya man qaruba min khatarati alzzununi
Aye woh jo zanni khayalon se qareeb hai
وَبَعُدَ عَنْ لَحَظَاتِ ٱلْعُيُونِ
wa ba`uda `an lahazati al`uyuni
Aur aankhon ki deed se door ha
وَعَلِمَ بِمَا كَانَ قَبْلَ أَن يَكُونَ
wa `alima bima kana qabla an yakuna
Aur hone wali cheezon ko hone se pehle jaan chuka hai
يَا مَنْ أَرْقَدَنِي فِي مِهَادِ أَمْنِهِ وَأَمَانِهِ
ya man arqadani fi mihadi amnihi wa amanihi
Aye woh jis ne mujhe apne aman-osalamati ke gehwara mein sulaya
وَأَيْقَظَنِي إِلَىٰ مَا مَنَحَنِي بِهِ مِنْ مِنَنِهِ وَإِحْسَانِهِ
wa ayqazani ila ma manahani bihi min minanihi wa ihsanihi
Aur apni bakhshish aur ehsaan ko paane ke liye mujhe bedaar kiya
وَكَفَّ أَكُفَّ السُّوءِ عَنِّي بِيَدِهِ وَسُلْطَانِهِ
wa kaffa akuffa alssu'i `anni biyadihi wa sultanihi
Apni qudrat-o-iqtidaar se burai ko mujh par haath daalne se roka
صَلِّ اللَّهُمَّ عَلَىٰ ٱلدَّلِيلِ إِلَيْكَ فِي ٱللَّيْلِ ٱلأَلْيَلِ
salli allahumma `ala alddalili ilayka fi allayli al-alyali
Aye Ma'bood! Us par rehmat farma jo tareek raat mein teri taraf rehnumai karne wala
وَٱلْمَاسِكِ مِنْ أَسْبَابِكَ بِحَبْلِ ٱلشَّرَفِ ٱلأَطْوَلِ
walmasiki min asbabika bihabli alshsharafi al-atwali
aTere saharon mein se sharaf ki payedar rassi ko pakadne wala
وَٱلنَّاصِعِ ٱلْحَسَبِ فِي ذِرْوَةِ ٱلْكَاهِلِ ٱلأَعْبَلِ
walnnasi`i alhasabi fi dhirwati alkahili al-a`bali
Aala khandaan mein se chamakti peshani wala
وَٱلثَّابِتِ ٱلْقَدَمِ عَلَىٰ زَحَاِليْفِهَا فِي ٱلزَّمَنِ ٱلأَوَّلِ
walththabiti alqadami `ala zahalifiha fi alzzamani al-awwali
Istewaar rawish wala azal hi se laghzishon ke mauqon par sabit qadam rehne wala ha
وَعَلَىٰ آلِهِ ٱلأَخْيَارِ ٱلْمُصْطَفَيْنَ ٱلأَبْرَارِ
wa `ala alihi al-akhyari almustafayna al-abrari
Aur us Nabi (S.A.W.) ki nekokar barguzeeda khush kirdaar Aal (A.S.) par rehmat farma
وٱفْتَحِ اللَّهُمَّ لَنَا مَصَارِيعَ ٱلصَّبَاحِ
waftah allahumma lana masari`a alssabahi
Aye Ma'bood! Hamare liye subah ke darwaze khol de
بِمَفَاتِيحِ ٱلرَّحْمَةِ وَٱلْفَلاَحِ
bimafatihi alrrahmati walfalahi
Apni rehmat-o-bakhshish ki kunjiun se
وَأَلْبِسْنِي ٱللَّهُمَّ مِنْ أَفْضَلِ خِلَعِ ٱلْهِدَايَةِ وَٱلصَّلاَحِ
wa albisni allahumma min afdali khila`i alhidayati walssalahi
Aye Ma'bood! Mujhe neki-o-hidayat ki behtareen khila't pehna de
وَٱغْرِسِ اللَّهُمَّ بِعَظَمَتِكَ فِي شِرْبِ جَنَانِي يَنَابِيعَ ٱلْخُشُوعِ
wa ighris allahumma bi`azamatika fi shirbi janani yanabi`a alkhushu`i
Khudawand! Apni azmat ke ba'is mere dil mein apne khauf ki lehrein dauda de
وَأَجْرِ ٱللَّهُمَّ لِهَيْبَتِكَ مِنْ آمَاقِي زَفَرَاتِ ٱلدُّمُوعِ
wa ajri allahumma lihaybatika min amaqi zafarati alddumu`i
Aye Ma'bood! Apni haibat ke liye meri aankhon se aansuon ke taar jari kar de
وَأَدِّبِ ٱللَّهُمَّ نَزَقَ ٱلْخُرْقِ مِنِّي بِأَزِمَّةِ ٱلْقُنُوعِ
wa addib allahumma nazaqa alkhurqi minni bi-azimmati alqunu`i
"Khudaya meri kaj-khulqi ko qana'at ki lagaam
daal de"
إِلٰهِي إِن لَمْ تَبْتَدِئْنِي ٱلرَّحْمَةُ مِنْكَ بِحُسْنِ ٱلتَّوْفِيقِ
ilahi in lam tabtadi'ni alrrahmatu minka bihusni alttawfiqi
Mere Allah agar tu ne apni rehmat se mujhe neki ki taufeeq na d
فَمَنِ ٱلسَّاِلكُ بِي إِلَيْكَ فِي وَاضِحِ ٱلطَّرِيقِ
faman alssaliku bi ilayka fi wadihi alttariqi
iTo kaun mujhe teri taraf kushada raah par le chale ga
وَإِنْ أَسْلَمَتْنِي أَنَاتُكَ لِقَائِدِ ٱلأَمَلِ وَٱلْمُنَىٰ
wa in aslamatni anatuka liqa'idi al-amali walmuna
Aur agar teri di hui dheel se main khwahish ke peeche chal pada
فَمَنِ ٱلْمُقِيلُ عَثَرَاتِي مِنْ كَبَوَاتِ ٱلْهَوَىٰ
faman almuqilu `atharati min kabawati alhawa
"To kaun
mujhe hawas ki thokron se bachaye ga?"
وَإِنْ خَذَلَنِي نَصْرُكَ عِنْدَ مُحَارَبَةِ ٱلنَّفْسِ وَٱلشَّيْطَانِ
wa in khadhalani nasruka `inda muharabati alnnafsi walshshaytani
?Aur agar teri nusrat mere shamil-e-haal na hotiMere nafs aur shaitan ki jang mein
فَقَدْ وَكَلَنِي خِذْلاَنُكَ إِلَىٰ حَيْثُ ٱلنَّصَبِ وَٱلْحِرْمَانِ
faqad wakalani khidhlanuka ila haythu alnnasabi walhirmani
To goya teri doori ne mujhe ranj-o-gham ke hawale kar diya hota
إِلٰهِي أَتَرَانِي مَا أَتَيْتُكَ إِلاَّ مِنْ حَيْثُ ٱلآمَاِل
ilahi atarani ma ataytuka illa min haythu al-amali
Mere Malik kya teri nazar se main tere paas apni khwahishon ke liye aaya hun
أَمْ عَلِقْتُ بِأَطْرَافِ حِبَاِلكَ إِلاَّ حِينَ بَاعَدَتْنِي ذُنُوبِي عَنْ دَارِ ٱلْوِصَاِل
am `aliqtu bi-atrafi hibalika illa hina ba`adatni dhunubi `an dari alwisali
Ya main ne tujh se us waqt ilaqa qaim kiyaKe jab mere gunahon ne mujhe tere wisaal se door kar diya
فَبِئْسَ ٱلْمَطِيَّةُ الَّتِي ٱمْتَطَتْ نَفْسِي مِنْ هَوَاهَا
fabi'sa almatiyyatu allati imtatat nafsi min hawaha
?Pas mere dil ne khwahishon ko apni buri sawari bana liya
فَوَاهاً لَهَا لِمَا سَوَّلَتْ لَهَا ظُنُونُهَا وَمُنَاهَا
fawahan laha lima sawwalat laha zununuha wa munaha
Pas us par aur us ki khayali tamannaon par nafreen hai
وَتَبّاً لَهَا لِجُرْأَتِهَا عَلَىٰ سَيِّدِهَا وَمَوْلاهَا
wa tabban laha lijur'atiha `ala sayyidiha wa mawlaha
Aur tabahi ho us ki jo us ne apne Aaqa par yeh jurrat ki hai
إِلٰهِي قَرَعْتُ بَابَ رَحْمَتِكَ بِيَدِ رَجَائِي
ilahi qara`tu baba rahmatika biyadi raja'i
Ilahi main ne apni umeed ke hathon tere baab-e-rehmat par dastak di hai
وَهَرَبْتُ إِلَيْكَ لاَجِئاً مِنْ فَرْطِ أَهْوَائِي
wa harabtu ilayka laji'an min farti ahwa'i
Aur apni hadd se zyada tamannaon se dar ke tere paas bhaag aaya hun
وَعَلَّقْتُ بِأَطْرَافِ حِبَاِلكَ أَنَامِلَ وَلائِي
wa `allaqtu bi-atrafi hibalika anamila wala'i
Aur mohabbat ki ungliyon se tere daaman-e-rehmat ko thaam liya ha
فَٱصْفَحِ اللَّهُمَّ عَمَّا كُنتُ أَجْرَمْتُهُ مِنْ زَلَلِي وَخَطَائِي
fasfah allahumma `amma kuntu ajramtuhu min zalali wa khata'i
Aye Ma'bood! Mujh se jo laghzishein aur khataein hui hain
وَأَقِلْنِي مِنْ صَرْعَةِ رِدَائِي
wa aqilni min sar`ati rida'i
un se chashm-poshi farmaAur meri chaadar ki paichi (waadi-e-halakat) se sirf-e-nazar farma
فَإِنَّكَ سَيِّدِي وَمَوْلايَ وَمُعْتَمَدِي وَرَجَائِي
fa'innaka sayyidi wa mawlaya wa mu`tamadi wa raja'i
Kyunke tu mera Aaqa-o-Malik aur mera sahara aur umeed ha
وَأَنتَ غَايَةُ مَطْلُوبِي وَمُنَايَ فِي مُنْقَلَبِي وَمَثْوايَ
wa anta ghayatu matlubi wa munaya fi munqalabi wa mathwaya
Aur tu hi is duniya aur aakhirat mein mera asli matloob-o-maqsood ha
إِلٰهِي كَيْفَ تَطْرُدُ مِسْكِيناً ٱلْتَجَأَ إِلَيْكَ مِنَ ٱلذُّنُوبِ هَارِباً
ilahi kayfa tatrudu miskinan iltaja'a ilayka mina aldhdhunubi hariban
Mere Ma'bood! Tu is bechare ko kaise nikaal de ga?Jo tere paas gunahon se bhaag kar aaya hai?
أَم كَيْفَ تُخَيِّبُ مُستَرْشِداً قَصَدَ إِلَىٰ جَنَابِكَ سَاعِياً
am kayfa tukhayyibu mustarshidan qasada ila janabika sa`iyan
?Ya us taalib-e-hidayat ko kaise mayoos kare ga?Jo tere huzoor daudta hua aaya hai?
أَمْ كَيْفَ تَرُدُّ ظَمْآناً وَرَدَ إِلَىٰ حِيَاضِكَ شَارِباً
am kayfa taruddu zam'anan warada ila hiyadika shariban
Ya us pyaase ko kaise door kare ga?Jo tere karam ke hauz se pyaas bujhane aaya ha
كَلاَّ وَحِيَاضُكَ مُتْرَعَةٌ فِي ضَنْكِ ٱلْمُحُولِ
kalla wa hiyaduka mutra`atun fi danki almuhuli
?Hargiz nahin! Ke tere faiz ke chashme khush-saali mein bhi rawaan hain
وَبَابُكَ مَفْتُوحٌ لِلطَّلَبِ وَٱلْوُغُولِ
wa babuka maftuhun lilttalabi walwughuli
Aur tera baab-e-karam daakhile aur sawaal ke liye khula hai
وَأَنتَ غَايَةُ ٱلْمَسْؤُولِ وَنِهَايَةُ ٱلْمَأْمُولِ
wa anta ghayatu almas'uli wa nihayatu alma'muli
Aur tu sawaal ki inteha aur umeed ki aakhri hadd hai
إِلٰهِي هٰذِهِ أَزِمَّةُ نَفْسِي عَقَلْتُهَا بِعِقَاِل مَشِيئَتِكَ
ilahi hadhihi azimmatu nafsi `aqaltuha bi`iqali mashi'atika
Mere Ma'bood! Yeh mere nafs ki baagein hainJin ko main ne teri mashiyat ki rassi se baandh diya hai
وَهٰذِهِ أَعْبَاءُ ذُنُوبِي دَرَاْتُهَا بِعَفْوِكَ وَرَحْمَتِكَ
wa hadhihi a`ba'u dhunubi dara'tuha bi`afwika wa rahmatika
Aur yeh hain mere gunahon ki gatthriyanJo main ne teri bakhshish-o-rehmat ke aage la rakhhi hain
وَهٰذِهِ أَهْوَائِيَ ٱلْمُضِلَّةُ وَكَلْتُهَا إِلَىٰ جَنَابِ لُطفِكَ وَرَاْفَتِكَ
wa hadhihi ahwa'i almudillatu wakaltuha ila janabi lutfika wa ra'fatika
Aur yeh hain meri gumraah kun khwahisheinJo main ne tere lutf-o-karam ke supurd kar di hain
فَٱجْعَلِ ٱللَّهُمَّ صَبَاحِي هٰذَا نَازِلاً عَلَيَّ بِضِيَاءِ ٱلْهُدَىٰ
faj`al allahumma sabahi hadha nazilan `alayya bidiya'i alhuda
Pas aye Parwardigar! Is subah ko mere liye azal farma noor-e-hidayat bana ka
وَبِٱلسَّلاَمَةِ فِي ٱلدِّينِ وَٱلدُّنْيَا
wa bilssalamati fi alddini walddunya
rAur deen-o-duniya ki salamati ki hamil bana kar
وَمَسَائِيَ جُنَّةً مِنْ كَيْدِ ٱلْعِدَىٰ
wa masa'i junnatan min kaydi al`ida
Aur deen-o-duniya ki salamati ki hamil bana karAur is raat ko dushmanon ki makari se meri dhaal
وَوِقَايَةً مِنْ مُرْدِيَاتِ ٱلْهَوَىٰ
wa wiqayatan min murdiyati alhawa
Aur halaak karne wali hawas ki sipar bana de
إِنَّكَ قَادِرٌ عَلَىٰ مَا تَشَاءُ
innaka qadirun `ala ma tasha'u
Beshak tu jo chahe us par qadir hai
تُؤْتِي ٱلْمُلْكَ مَنْ تَشَاءُ
tu'ti almulka man tasha'u
`Jise chahe mulk deta hai
وَتَنْزِعُ ٱلْمُلْكَ مِمَّن تَشَاءُ
wa tanzi`u almulka mimman tasha'u
aur jis se chahe wapas le leta ha
وَتُعِزُّ مَنْ تَشَاءُ
wa tu`izzu man tasha'u
Aur jise chahe izzat deta
وَتُذِلُّ مَنْ تَشَاءُ
wa tudhillu man tasha'u
aur jise chahe zillat deta ha
بِيَدِكَ ٱلْخَيرُ
biyadika alkhayru
Har bhalai tere haath mein ha
إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
innaka `ala kulli shay'in qadirun
beshak tu har cheez par qadir hai
تُولِجُ ٱللَّيْلَ فِي ٱلنَّهَارِ
tuliju allayla fi alnnahari
Raat ko din mein daakhil karta hai
وَتُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱللَّيْلِ
wa tuliju alnnahara fi allayli
وَتُخْرِجُ ٱلْحَيَّ مِنَ ٱلمَيِّتِ
wa tukhriju alhayya mina almayyiti
Murda se zinda
وَتُخْرِجُ ٱلْمَيِّتَ مِنَ ٱلحَيِّ
wa tukhriju almayyita mina alhayyi
aur zinda se murda ko baraamad karta hai
وَتَرْزُقُ مَنْ تَشَاءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ
wa tarzuqu man tasha'u bighayri hisabin
Aur jise chahe be-hisaab rizq ata farmata hai
لاَ إِلٰهَ إِلاَّ أَنتَ
la ilaha illa anta
Tere siwa koi Ma'bood nahin
سُبْحَانَكَ ٱللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ
subhanaka allahumma wa bihamdika
paak hai tu aye Allah aur hamd tere hi liye ha
مَنْ ذَا يَعْرِفُ قَدْرَكَ فَلاَ يَخَافُكَ
man dha ya`rifu qadraka fala yakhafuka
Kaun hai jo teri qadr-o-azmat ko pehchane to us se na dare?
وَمَن ذَا يَعْلَمُ مَا أَنتَ فَلاَ يَهَابُكَ
wa man dha ya`lamu ma anta fala yahabuka
?Kaun hai jo jaanta ho tu kaun hai phir tujh se maroob na ho?
أَلَّفْتَ بِقُدْرَتِكَ ٱلْفِرَقَ
allafta biqudratika alfiraqa
Tu ne apni qudrat se muntashir ko muttahid kiya
وَفَلَقْتَ بِلُطْفِكَ ٱلْفَلَقَ
wa falaqta bilutfika alfalaqa
Aur apne lutf se safeda-e-subah ko numaya kiya
وَأَنَرْتَ بِكَرَمِكَ ديَاجِيَ ٱلْغَسَقِ
wa anarta bikaramika dayajiya alghasaqi
Aur tu ne hi apne karam se tareek raaton ko roshan kiya
وَأَنْهَرْتَ ٱلْمِيَاهَ مِنَ ٱلصُّمِّ ٱلصَّيَاخِيدِ عَذْباً وَأُجَاجاً
wa anharta almiyaha mina alssummi alssayakhidi `adhban wa ujajan
Aur tu ne sakht patharon mein se meethe aur khare pani ke chashme jari kiye
وَأَنزَلْتَ مِنَ ٱلمُعْصِرَاتِ مَاءً ثَجَّاجاً
wa anzalta mina almu`sirati ma'an thajjajan
Aur baadlon se nithra hua meetha pani barsaya
وَجَعَلْتَ ٱلشَّمْسَ وَٱلْقَمَرَ لِلْبَرِيَّةِ سِرَاجاً وَهَّاجاً
wa ja`alta alshshamsa walqamara lilbariyyati sirajan wahhajan
Aur tu ne suraj aur chaand ko makhlooq ke liye roshan charagh qarar diya
مِنْ غَيْرِ أَن تُمَارِسَ فِيمَا ٱبْتَدَأْتَ بِهِ لُغُوباً وَلاَ عِلاَجاً
min ghayri an tumarisa fima ibtada'ta bihi lughuban wa la `ilajan
Baghair is ke ke jo kuch tu ne paida kiya thaka ho aur us ka ilaaj kiya ho
فَيَا مَنْ تَوَحَّدَ بِٱلْعِزِّ وَٱلْبَقَاءِ
faya man tawahhada bil`izzi walbaqa'i
Pas aye izzat aur baqa mein yagana
وَقَهَرَ عِبَادَهُ بِٱلْمَوْتِ وَٱلْفَنَاءِ
wa qahara `ibadahu bilmawti walfana'i
Aur maut-o-fana ke zariye bandon par ghalib rehne wale
صَلِّ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَآلِهِ ٱلأَتْقِيَاءِ
salli `ala muhammadin wa alihi al-atqiya'i
Muhammad (S.A.W.) wa Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat farma jo parhezgaar hain
وَٱسْمَعْ نِدَائِي وَٱسْتَجِبْ دُعَائِي
wasma` nida'i wastajib du`a'i
Aur meri pukaar sun le meri dua qubool farma
وَحَقِّقْ بِفَضْلِكَ أَمَلِي وَرَجَائِي
wa haqqiq bifadlika amali wa raja'i
Aur apne karam se meri tamanna-o-umeed poori kar de
يَا خَيْرَ مَنْ دُعِيَ لِكَشْفِ ٱلضُّرِّ
ya khayra man du`iya likashfi alddurri
Aye woh behtareen zaat jise takleef door karne ke liye pukara jata hai
وَٱلْمَأْمُولِ فِي كُلِّ عُسْرٍ وَيُسْرٍ
walma'muli fi kulli `usrin wa yusrin
Aur aye tangi-o-faraghi mein umeed gaah
بِكَ أَنزَلْتُ حَاجَتِي فَلاَ تَرُدَّنِي مِنْ سَنِيِّ مَوَاهِبِكَ خَائِباً
bika anzaltu hajati fala taruddani min saniyyi mawahibika kha'iban
"Main tere huzoor haajat
le kar aaya hunPas mujhe apni wasee ataaon se mehroomi ke saath door na kar"
يَا كَرِيمُ يَا كَرِيمُ يَا كَرِيمُ
ya karimu ya karimu ya karimu
Ya Kareem Ya Kareem Ya Kareem
بِرَحْمَتِكَ يَا أَرْحَمَ ٱلرَّاحِمِينَ
birahmatika ya arhama alrrahimina
Apni rehmat ke saath aye sab se zyada rehmat karne wale
وَصَلَّىٰ ٱللَّهُ عَلَىٰ خَيْرِ خَلْقِهِ
wa salla allahu `ala khayri khalqihi
Aur Khuda ki rehmat ho us ki behtareen makhlooq
مُحَمَّدٍ وَآلِهِ أَجْمَعِينَ
muhammadin wa alihi ajma`ina
Hazrat Muhammad (S.A.W.) aur un ki sabhi Aal (A.S.) par.
Prostrate and say (in Sajdah)
إِلٰهِي قَلْبِي مَحْجُوبٌ
ilahi qalbi mahjubun
Khudaaya! Mere dil par hijaab ha
وَنَفْسِي مَعْيُوبٌ
wa nafsi ma`yubun
mere nafs mein ayb hai
وَعَقْلِي مَغْلُوبٌ
wa `aqli maghlubun
Meri aqal nakaara ha
وَهَوَائِي غَاِلبٌ
wa hawa'i ghalibun
meri khwahish ghalib
وَطَاعَتِي قَلِيلٌ
wa ta`ati qalilun
Meri ibaadat kam
وَمَعْصِيَتِي كَثِيرٌ
wa ma`siyati kathirun
aur gunaah bohat zyada hain
وَلِسَانِي مُقِرٌّ بِٱلذُّنُوبِ
wa lisani muqirrun bildhdhnubi
Meri zabaan gunahon ka iqraar karti ha
فَكَيْفَ حِيلَتِي
fakayfa hilati
Tu mera chaara kaar kya hai?
يَا سَتَّارَ ٱلْعُيُوبِ
ya sattara al`uyubi
Aye aybon ko chupane wale
وَيَا عَلاَّمَ ٱلْغُيُوبِ
wa ya `allama alghuyubi
Aye chhipi baaton ko janne wale
وَيَا كَاشِفَ ٱلْكُرُوبِ
wa ya kashifa alkurubi
aye dukhon ko door karne wale
إِغْفِر ذُنُوبِي كُلَّهَا
ighfir dhunubi kulliha
Mere tamam gunaah bakhsh de
بِحُرْمَةِ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ
bihurmati muhammadin wa ali muhammadin
Muhammad (S.A.W.) wa Aal-e-Muhammad (A.S.) ki hurmat ke waaste se
يَا غَفَّارُ يَا غَفَّارُ يَا غَفَّارُ
ya ghaffaru ya ghaffaru ya ghaffaru
Ya Ghaffaar Ya Ghaffaar Ya Ghaffaar
بِرَحْمَتِكَ يَا ارْحَمَ ٱلرَّاحِمِينَ
birahmatika ya arhama alrrahimina
Apni rehmat ke saath aye sab se zyada rehm karne wale.